naatUncategorized

Aaqa Ka Milad Aya – Full Naat Lyrics

“Aaqa Ka Milad Aya” is a vibrant Milad naat expressing joy and gratitude on the blessed birth of Prophet Muhammad ﷺ. It captures the excitement, happiness, and devotion felt by Muslims during Rabi-ul-Awwal.

Aaqa Ka Milad Aya Lyrics

Ya Rasula Llah, Ya Habiba Llah

Salla Alayka Ya Rasula Llah

Wa Sallam Alayka Ya Habiba Llah

Ahlan Wa Sahlan Marhaba, Ya Rasula Llah

Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya

Khushiyon Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya

Shams-o-qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj Saaray

Unse Hee Tou Noor Paaya Aaqa Ka Milad Aaya

Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay Hain Wohi

Jinn Per Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya

Ghar Ko Sajatay Hain Wohi, Jhanday Lehratay Hain Wohi,

Jin Par Hua Unka Saaya, Aaqa Ka Milad Aaya

Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan

Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya

Mukhtar-e-kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe

Naara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya

Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh Paaye

Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya

Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne

Sab Ne Hee Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya

Naat-e-nabi Tum Sunao Ishq-e-nabi Ko Barhao

Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya

Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar Maantay Hain

Aisa Nabi Hum Ne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya

Dil Jagmaganay Lagay Hain Sab Muskaranay Lagay Hain

Ik Kaif Sa Aaj Chahya Aaqa Ka Milad Aaya

Kar Ae Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat

Tu Ne Muqqadar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya

About This Naat

The naat celebrates the birth of the Prophet ﷺ and emphasizes the spiritual light, mercy, and blessings he brought into the world.

Listen to Aaqa Ka Milad Aya

Frequently Asked Questions

Why is this naat recited?

To express happiness and gratitude for the birth of the Prophet ﷺ.

Is it suitable for Milad gatherings?

Yes — it is one of the most popular Milad naats.

Is there a specific melody for this naat?

The melody varies based on the performer and region.

Can it be used for kids’ Milad events?

Yes, it’s often performed by both children and adults.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button