naatUncategorized

Mustafa Mera Iman Hai – Full Naat Lyrics

“Mustafa Mera Iman Hai” is a powerful naat that expresses unwavering faith in the Prophet Muhammad ﷺ. It beautifully highlights how love for the Prophet is deeply connected to a believer’s faith and spiritual identity.

Mustafa Mera Iman Hai Lyrics

Baccha bhi bole Nabi Nabi
Budha bhi bole Nabi Nabi
Taaqat hi Taaqat Nabi Nabi
Quwwat hi Quwwat Nabi Nabi

Maidaan Badar Aur Khandak mein
Gazwaa-e-Ohood ke Lashkar mein
Ye Saare Sahaaba kehte the
Jeene ka Sahaar Nabi Nabi

Mein Mar jaun to Nabi Nabi
Mere Kafan pe likhna Nabi Nabi
Meri Qabar pe likhna Nabi Nabi
Mehshar mein bolun Nabi Nabi
Ho Meri Shafaa-at Nabi Nabi

Mizaane Amal pe Nabi Nabi
Jab Pul se guzrun Nabi Nabi
To Paar Laga de Nabi Nabi
Fir Jhoom ke bolun Nabi Nabi
Jannat mein chillaaun Nabi Nabi

Mustafa ki sab se unchi shaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Mere Siddiko Umar Usmaan Ali
Chaaron hi Haq par hein Yaarane Nabi
Chaar Yaaron ka yahi Naara raha
Mera to sab kuchh hai bas Mera Nabi

Har Sahabi ka yahi Aelan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Mustafa ki Aankh ka Taara Ali
Jaanon Dil se hai Hamein Pyaara Ali
Ahle Haq ki Mehfilon mein aaj bhi
Gunjta hai Har Taraf Naara Ali

Murtaza to Mustafa ki Jaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Mustafa ki sab se unchi shaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Aankh se Ashke Wafa behte rahe
Zalimok ke Zulm bhi sehte rahe
Mustafa ke Ishq mein Hazrat Bilaal
Ya Nabi Ya Mustafa kehte rahe

Ye Bilaali Ishq ka Farmaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Allah ka Pyaara Nabi Nabi
Kaabe ka Kaaba Nabi Nabi
Mera Ek hi Naara Nabi Nabi
Mera Lahu Pukaara Nabi Nabi

Siddike Akbar ne Bola
Farooke Aazam ka Naara
Usmaane Gani Haidar Maula
Sab ne hi pukaara Nabi Nabi

Zahra ke Baba Nabi Nabi
Hasnain ke Nana Nabi Nabi
Karbal ki Zameen par
Akbar ki Sada thi Nabi Nabi

Ishk yun Apna liya Siddik ne
Mustafa ko paa liya Siddik ne
Aanch na aaye Nabi par Is liye
Saanp se daswa liya Siddik ne

Aashike Saadik ki ye pehchaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Mustafa ki sab se unchi shaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Khwaabe Aasare Taraah ki Todiye
Chaand per Jaane ki Baatein chhodiye
Chaand Jinke Ek Ishaare par chale
Us Nabi se Apna Rishta Jodiye

Chaand bhi Is Chaand par Qurbaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Peere Kamil Murshidi Attar ne
Daawate Islami ka Tohfa diya
Peere Kamil Mera Murshid
Madani Chainal dekhte hi dekhte
Ghar ka Ghar sara Namaazi ban gaya

Aaqa ki Sunnat ka Faizaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Mustafa ki sab se unchi shan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Maa ne Bachpan mein Hamein sikhla diya
Aaqa ki Sunnat kabhi na chhodna
Koi Gham ho kaise bhi haalaat hon
Baarwi o Gyaarwi na chhodna

Inke Sadqe Zindagi aasan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Ho Sadaaqat ka hunar guftaar mein
Roshni Paida karo kirdaar mein
Ho chamak Imaan mein Kaatib wahi
Jo chamak thi Haidari Talwaar mein

Mustafaee ki yahi pehchaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

About This Naat

This naat reflects the emotional and spiritual bond Muslims have with the Prophet ﷺ, emphasizing devotion, respect, and admiration.

Listen to Mustafa Mera Iman Hai

Frequently Asked Questions

What is the message of this naat?

It shows that love for the Prophet ﷺ is an essential part of faith.

Is it suitable for gatherings?

Absolutely – this naat energizes and uplifts listeners during spiritual events.

Who recited this naat?

Many reciters across the world have performed it in their unique style.

Is it a modern or classical naat?

It is recited in both classical and modern styles depending on the performer.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button