naatUncategorized

Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar – Full Naat Lyrics

“Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar” is a heartfelt naat highlighting the closeness of the Prophet ﷺ to his followers, removing all distances of hesitation.

Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar Lyrics

Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar,
Hum Bhi Bebas Nahin Besahara Nahi.
Khud Unhi Ko Pukarengey Hum Door Say
Raaste Mein Agar Paon Thak Jayengay.

Hum Madinay Mein Tanha Nikal Jayengey,
Aur Galiyon Mein Kus Dun Batak Jayengey.

Hum Wahan Jakey Wapas Nahin Ayengay.
Dhoondtay Dhoondte Loog Thak Jayengey.

Jaise Hi Sabz Gumbad Nazar Ayega,
Bandagi Ka Kareena Badal Jaye Ga.

Sar Jhukane Ki Fursat Milay Gi Kisey.
Khud Hi Palkon Say Sajdey Tapak Jayengey.

Naam E Aaka Jahan Bhi Liya Jayega,
Zikr Unka Jahan Bhi Kiya Jayega.

Noor Hi Noor Seeno Mein Bhar Jayega,
Sari Mehfil Mein Jalwe Lapak Jayegey.

Aie Madinay Kay Zahir Khuda Ke Liye,
Dastaan E Safar Mujko Yoon Mat Suna.

Baat Bhar Jayegi Dil Tarap Jayega,
Meray Mohtat Ansoo Chalak Jayegay.

Unki Chashme Karam Ko Hai Iski Khabar,
Kis Musafir Ko Hai Kitna Shaukey Safar.

Humko Iqbal Jab Bhi Ijazat Mili,
Hum Bhi Aaqa Kay Darbar Tak Jayegeney.

Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar,
Hum Bhi Bebas Nahin Besahara Nahi.
Khud Unhi Ko Pukarengey Hum Door Se
Raaste Mein Agar Paon Tak Jayengey .

About This Naat

The naat emphasizes love, connection, and humility in approaching the Prophet ﷺ spiritually.

Listen to Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar

Frequently Asked Questions

What is the main message of this naat?

It conveys closeness and reverence to the Prophet ﷺ and removes barriers in seeking blessings.

Who sang this naat famously?

Various renowned naat reciters have performed it.

Can it be recited at gatherings?

Yes, it is perfect for spiritual events.

Is it suitable for daily recitation?

Yes, it strengthens love and connection to the Prophet ﷺ.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button