naatUncategorized

Madine Ka Safar – Full Naat Lyrics

“Madine Ka Safar” is an emotional Urdu naat expressing the desire to visit the holy city of Madinah. Its soulful melody creates a deep spiritual longing in listeners.

Madine Ka Safar Lyrics

Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeda Namdeeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeda Laghzeeda

Chala Hoon Eik Mujrim Ki Tarha Mey Janib E Taiba
Nazar Sharminda Sharminda Badan Larzeda Larzeeda

Kise Key Hath Ney Mujh Ko Sahara Dey Diya Warna
Kahan Mey Aur Kahan Ye Rasty Pechida Pechida

Kahan Mey Aur Kahan Us Roza E Aqdas Ka Nazara
Nazar Us Samat Uthti He Magar Duzdeeda Duzdeeda

Ghulaman E Mohammad Dur Se Pehchane Jate Hein
Dil E Girweeda Girweeda Sare Shoreeda Shoreeda

Madine Jaa Ke Hum Samjhe Taqadus Kis Ko Kehte Hein
Hawa Pakeeza Pakeeza Faza Sanjeeda Sanjeeda

Basarat Kho Gai Lekin Basirat To Salamat Hein
Madina Hum Ne Dekha He Magar Nadeeda Nadeeda

Wohi Iqbal Jis Ko Naaz Tha Kal Khush Meezaji Par
Firaq E Taiba Me Rehta He Aab Ranjida Ranjida

Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeeda Namdeeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeda Laghzeda

About This Naat

The naat beautifully describes the spiritual journey, love, and yearning every believer feels for the blessed city of Madinah.

Listen to Madine Ka Safar

Frequently Asked Questions

Why is this naat so emotional?

Because it expresses the deep desire to visit Madinah and the resting place of the Prophet ﷺ.

Who recited this naat famously?

Many popular naat reciters have performed it in their unique styles.

Is this naat good for Mehfil gatherings?

Yes, it is commonly recited at spiritual events.

What is the main theme?

Longing, devotion, and the dream of visiting Madinah.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button